Urdu Poetry Mohsin Naqvi Biography
Source (google.com.pk)
Biodata:
Name: Mohsin Naqvi
Personality: Poet
Born (Birthday): 5 May 1947
Birth Place: Dera Ghazi Khan, Punjab, Pakistan
Education: Graduated from Government College Bosan Road in Multan, get master degree from University of the Punjab, Lahore
Died: 15 Junuary 1996, Lahore
Biography:
Mohisn Naqvi 5 May 1947 ko Dera Ghazi Khan, Punjab, Pakistan mein peda howe. In ke walid ka naam Syed Chirag Hussain tha. In ke 6 bhai/behan hein. Government College Bosan Road Multan se inho ne graduation kiya aur es ke bad Masters ki degree Punjab University Lahore se li.
Mohsin MA Urdu ke final year mein they ke in ka pehla majmua “Band Qaba” shaya howa. Mohsin Naqvi Dera Ghazi Khan se taluq rakhte they.
Mohsin Naqvi dekhte he dekhte Radio, TV, Akhbarat her jagha mash-hor ho gae. Adbi halqon mein in ka naam mash-hor ho gaya aur 13 April 1994 mein Mohsin Naqvi ke fun aur shkhsiyat per Ziya Sajid ki murat-tab karda kitab “kai batein zarori reh gaein” Bhi chap gai hai.
Mohsin Naqvi jaded shayer they magar rewayat se bhi baher nahi nikalte aur es ki aehamyat wo jante hein.
Unho ne apne hum aser aur aur senior shayaron ka acha mutala kiya tha. 1970 ke qareeb unho ne aehum Urdu kar liya tha.
Ek interview mein Mohsin Naqvi ne kaha tha ke main “Mir Ghalib, Anis se rawaeti shaour ka sahara lekar Allama Iqbal, Josh, Faiz Ahmed Faiz, Faraq aur Qasmi sahib tak estafada karta hon unhein musalsal parhta hon aur in se mutasir howe begher reh nahi sakta”.
Famous Poem By Mohsin Naqvi:
• Qatil Kabhi Maqtool Ka Matam
• Nahi Kertay
• Vo Log Bhala Samjhein Gay Kiya
• Raz-E-Shahadat
• Jo Eid To Kertay Hain Muharram
• Nahi Kertay
• Kyun Aap Ka Dill Jalta Hai Kyun Jalta
• Hai Seena
• Hum Aap K Seenay Pe To Matam
• Nahi Kertay
• Kehtay Hain Baray Fakhar Say Hum
• Ghum Nahi Kertay
• Matam Ki Sada Suntay Hain Matam
• Nahi Kertay
• Moshin Ye Maqbool Riwayat Hai
• Jahan Main
Mohsin Naqvi ke Aakhri Din (Death of Mohsin Naqvi):
Mohsin ke aakhri din in ke uroj ke din they Farooq Leghari sader ban gae they aur woh es ke elaqe aur party se taluq rakhte they.
Mohsin Naqvi terrorist ke khelaf they, in ko 15 January 1996 ko Lahore mein in ke ghar per maar diya gaya.
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment