Urdu Poetry Mag Biography
Source (google.com.pk)
dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain
teri avaaz ke saaye,
tere honthon ke saraab
dasht-e-tanhaai mein,
duri ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab
uht rahi hai kahin qurbat se
teri saans ki aanch
apani khushbuu mein sulagti hui
maddham maddham
dur ufaq par chamakati hui
qatra qatra
gir rahi hai teri dil daar nazar ki shabnam
is qadar pyaar se hai jaan-e jahaan rakkhaa hai
dil ke rukhsaar pe
is vaqt teri yaad ne haath
yun guman hota hai
garche hai abhi subah-e-firaaq
dhal gaya hijr ka din
aa bhi gaye vasl ki raat...
----------------------------------
Kal Chodhween Ki Raat Thi, Shab Bhar Raha Charcha Tera
Kuch Ne Kaha Yeh Chaand Hai, Kuch Ne Kaha Chehra Tera
Hum Bhi Wahen Mojood The, Hum Se Bhi Sab Poocha Kiye
Hum Hans Diye, Hum Chup Rahe, Manzoor Tha Pardaa Tera
Is Shehr Mai Kis Se Milen? Hum Se To Chootein Mehfilein
Har Shakhs Tera Naam Le, Har Shakhs Deewaana Tera
Kooche Ko Tere Chor Kar, Jogi Hi Ban Jayen Magar
Jungle Tere, Parbat Tere, Basti Teri, Sehraa Tera
Hum aur rasm-e-bandagi? Aashuftagi? Uftaadgi?
Ahsaan Hai Kiya Kiya Tera, Ae Husn-E-Be’parwah Tera
Do Ashk Jane Kis Liye, Palkon Pe Aa Ke Tikk Gaye
Altaf Ki Barish Teri, Ikraam Ka Dariya Tera
Ae Be’daraigh-O-Be’amaan, Hum Ne Kabhi Ki Hai Faghan?
Hum Ko Teri Wehshat Sahi, Hum Ko Sahi Saudaa Tera
Hum Par Yeh Sakhti Ki Nazar? Hum Hain Faqeer-E-Raah Guzr
Rasta Kabhi Rokaa Tera? Daman Kabhi Thaama Tera?
Haan Haan Teri Surat Haseen, Lekin Tu Aesa Bhi Nahi
Is Shakhs Ke Ash’aar Se, Shohraa Hua Kiya Kiya Tera
Be’dard Sunni Ho To Chal, Kehta Hai Kiya Achi Ghazal
Ashiq Tera, Ruswa Tera, Shair Tera, INSHA Tera
(Ibn-e-Insha)
----------------------------------
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
Urdu Poetry Mag
No comments:
Post a Comment