Best Urdu Poetry Collection Biography
Source (google.com.pk)
Ho tilism-e-aalaam-e-raNg o boo, ke hareem-e-anjum o kehkashaaN
Mera saath dey gee mery nazar, woh chhupeiN ge jaa ke kahaaN kahaaN?
Meray dil pe naqsh haiN aaj tak woh ba ehtiyaat nawaazisheiN
Woh Ghuroor o zabt ‘ayaaN ‘ayaaN, woh Khuloos o rabt nehaaN nehaaN
Na safar ba shart-e-ma-aal hai, na talab baqaid-e-sawaal hai
Faqat aik sairy-e-zauq ko, maiN bhaTak raha huN kahaaaN kahaaN
Mery KhilwatoN ki ye jannateiN kayee baar saj ke ujaR chukeeN
Mujhay baarha ye huwa gumaaN, ke tum aa rahey jo kashaaN kashaaN
HaiN hunooz yaad woh qurbateiN, woh neyaaz o naaz woh sohbateiN
Woh tuloo’-e-subha Khunuk Khunuk, woh fizaa-e-shaam jawaaN jawaaN
Yeh taKhayyulaat ki zindagee, yeh tasawwuraat ki bandagee
Faqat ek faraib-e-Kheyaal par mery zindagee hai rawaaN dawaaN
===
Hum nay mana is zamanay maiN hansi bhi jurm hai
Laikin is maahol maiN afsurdagi bhi jurm hai
Dushmani tu khair har surat main hoti hai gunah
Ek muayyan hadd say aagay dosti bhi jurm hai
Hum wafa kar kay rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main is qadar saudagari bhi jurm hai
Iss say pehlay zindagi main itni pabandi na thi
ab to jaisay khud wajood-e-zindagi bhi jurm hai
Aadmi is zindagi say bach kay jaeey bhi kahaan
Maikashi bhi jurm hai aur khud kushi bhi jurm hai
Aik saaghar kay liyay jo baich dain apna zameer
Aisay rindooN kay liyay tashna labee bhi jurm hai
Apni baynoori ka hum Iqbal maatum kion karain
Aaj kay halaat main deeda waree bhi jurm hai
======
kya tha zara si dair main kya ho gaya koi
do din juda raha tau naya ho gaya koi
wo bhi mujhe aziz tha main bhi usey aziz
phir jane kiya huwa k khafa ho gaya koi
meri nazar nay us ko khad-o khaal dey dye
zehra jamaal-e sheh’r-e saba ho gaya koi
mehfil main tha tau chaand ki soorat sabeeh tha
tanha mila tau rung-e hina ho gaya koi
is khush ada guraiz k qurbaan jaai’yye
mujh ko salaam kar k hawa ho gaya koi
ilzaam hum pe aaya k hum musta’id na thai
jab bhi kisi ka teer khata ho gaya koi
mujh jaise be-nawa ko nawaza ba-sadd khuloos
yoo’n bhi barha tha aur barha ho gaya koi
=========
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
Best Urdu Poetry Collection
No comments:
Post a Comment