Sunday, 8 December 2013

Urdu Ghazal Poetry

Urdu Ghazal Poetry Biography

Source (google.com.pk)

Vo bulaaye.n to kyaa tamaashaa ho-Sagar Siddiqui

vo bulaaye.n to kyaa tamaashaa ho
ham na jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

ye kinaaro.n se khelane vaale
Duub jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

bandaa_parvar jo ham pe guzarii hai
ham bataaye.n to kyaa tamaashaa ho

aaj ham bhii terii vafaao.n par
muskuraaye.n to kyaa tamaashaa ho

terii suurat jo ittefaaq se ham
bhuul jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

vaqt kii chand sa’ate.n ‘Sagar’
lauT aaye.n to kyaa tamaashaa ho

Poet of the Ghazal:Sagar Siddiqui

**************************** 
Wo baten teri wo fasane tere-Abdul Hameed Adam

wo baten teri wo fasane tere
shagufta shagufta bahane tere
bas ek zakhm nazzara hissa mera
baharen teri aashiyane tere
bas ek dag-e-sajda meri qayenat
jabinen teri aastane tere
zamir-e-sadaf mein kiran ka muqam
anokhe anokhe thikane tere
faqiron ka jamaghat ghadi do ghadi
sharaben teri badakhane tere
bahar-o-khizan kam nigahon ke vaham
bure ya bhale sab zamane tere
“adam” bhi hai tera hikayatkadah
kahan tak gaye hain fasane tere

Poet of the Ghazal : Abdul Hameed Adam

**************************** 
Wo apne chehare mein sau afatab rakhte hain-Hasrat Jaipuri

wo apne chehare mein sau afatab rakhte hain
is liye to wo rukh pe naqab rakhte hain
wo pas baithe to aati hai dilab\ruba khushbu
wo apne hothon pe khilate gulab rakhte hain
har ek varq mein tum hi tum ho jan-e-mahabubi
hum apne dil ke kuch aisi kitab rakhte hain
jahan-e-ishq mein sohani kaheen dikhai de
hum apni aankh mein kitne chenab rakhte hain

Poet of the Ghazal :Hasrat Jaipuri

****************************
Wo anjuman mein raat badi shan se gaye-Saeed Rahi

wo anjuman mein raat badi shan se gaye
iman cheez kya thi kai jan se gaye
main to chupa hua tha hazaron naqab mein
lekin akele dekh ke pehchan se gaye
wo shama ban ke khud hi akele jala kiya
paravane kal ke raat pareshan se gaye
aaya tera salam na aaya hai khat koi
hum aakhiri safar ke bhi saman se gaye
“rahi” jinhen khuda bhi na samajha saka kabhi
baithe bithaye dekh lo ab man se gaye

Poet of the Ghazal :Saeed Rahi

****************************
Wo aake khwab mein taskin-e-iztirab to de-Mirza Ghalib

wo aake khwab mein taskin-e-iztirab to de
wale mujhe tapish-e-dil majal-e-khwab to de
kare hai qatl lagavat mein tera ro dena
teri tarah koi teg-e-nigah ko aab to de
dikhake jumbish-e-lab hi tamam kar hamako
na de jo bosa to muh se kaheen javab to de
pila de oak se saqi jo hum se nafrat hai
pyala gar nahi deta na de, sharab to de
‘asad’ khushi se mere hath panv phul gae
kaha jo us ne zara mere panv dab to de
poet of the poems/ghazal or nazam:mustafa zaidi

Poet of the Ghazal :Mirza Ghalib

****************************
wo ahad ahad hi kya jise nibhao bhi-Mustafa Zaidi

wo ahad ahad hi kya jise nibhao bhi
hamare vada-e-ulfat ko bhool jao bhi

bhala kahan ke hum aise guman wale hain
hazar bar hum aayen hamen bulao bhi

bigad chala hai bahut rasm-e-khudkushi ka chalan
darne valo kisi roz kar dikhao bhi
tumhari neend mein dubi hui aankhon ke qasam
hamen ye zid hai ki jago bhi aur jagao bhi

Poet of the Ghazal :Mustafa Zaidi

****************************
haye kin ganimon se aa pada hai ran mera -Abdullah Kamaal

us ke jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera
us ke band mutthi mein sara bankpan mera
aao aj hum donon apna apna ghar chun lain
tum tabah-e-dil le lo khitta-e-badan mera
main ne apne chehare pe sab hunar sajaye the
fash kar gaya mujh ko sada pairahan mera
dil bhi kho gaya shayad shahar ke surabon mein
ab meri tarah se hai dard bevatan mera
ek dasht-e-khamoshi ab hmera muqaddar hai
yaad besada teri zakhm bechaman mera
roz apni aankhon ke khwab khoon karta hun
haye kin ganimon se aa pada hai ran mera
magrabi hawa ne phir ye sandesha bheja hai
muntazir tumhara hai khushbuon ka ban mera

Poet of the Ghazal :Abdullah Kamaal


Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry
Urdu Ghazal Poetry

No comments:

Post a Comment