Saturday, 7 December 2013

Inqalabi Urdu Poetry

Inqalabi Urdu Poetry Biography

Source (google.com.pk)

Apne maazi se jo virsay main mile hain hum ko By Iqbal Azeem

Apne maazi se jo virsay main mile hain hum ko
In asoolon ki tijarat nahin hogi hum se
Ehd-e-Hazir ki her ik baat humain dil se qabool
Sirf toheen-eriwayat nahin hogi hum se
Jhoot bhi bolain, sadaqat ke payambar bhi banain
Hum ko bakhsho, ye siyasat nahin hogi hum se
Zakhm bhi khayen, raqebon ko duain bhi dain
Itni makhdosh sharafat nahin hogi hum se
Surkh pathar ke sanam hon ke woh pathar ke sanam
But kadon main to ibadat nahin hogi hum se
Hai ita’at ke liye apna faqat aik khuda
Na-khudaon ki ita’at nahin hogi hum se
Gher mashroot rafaqat ke tarafdar hain hum
Shart ke saath rafaqat nahin hogi hum se
Fikr-o-Izhaar main hum hukm ke paband nahin
Shayari hasb-e-hidayat nahin hogi hum se
Sirf ye batain agar aap gawara karen
Aap ko koi shikayat nahin hogi hum se

-----------------------
PEGHAM-E-IQBAL By Iqbal Azeem

Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Ge
Khwaab Ho Jao Ge, Afsano Mein Dhal Jao Ge
Ab to chehron ke khad-o-khal bhi pehle se nahin
Kis ko maloom tha tum itne badal jao ge
Apne parcham ka kahin rang bhula mat dena
Surkh sholon se jo khelo ge to jal jao ge
De rahe hain tumhain to log rafaqat ka fareb
In ki tareekh parho ge to dehal jao ge
Apni Mitti Pe Hi Chalny Ka Saleeqa Seekho
Sang-e-Mar.Mar Pe Chalo Ge Tou Phisal Jao Ge
Khwabgahon se nikalte hue dartay kyon ho
Dhoop itni to nahin hai ke pighal jao ge
Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Ge
Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho
Thokarain Khao Ge To Khud Hi Sambhal Jao Ge
Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat ke Chiraagh
Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho ke Dhal Jao Ge
Subh sadik mujhe matloob hai kis se mangon
Tum to bholay ho, chraghon se behal jao ge

-----------------------
Woh bhi kya log thay aasan thi rahen jin ki By Aale Ahmed Saroor

Woh bhi kya log the aasan thi rahen jin ki
Band aankhen kiye ik simt chale jate thay
Aql-o-dil Khawab-o-haqiqat ki na uljhan na khalish
Mukhtalif jalway nigahon ko na behlatay thay
Ishq sadaa bhi tha be-khud bhi junoon-peesha bhi
Husn ko apni adaon pe hijaab aata tha
Phool khilte thay to phoolon main nasha hota tha
Raat dhalti thi to sheeshon pe shabab aata tha
Chandni kaif-asar rooh-afza hoti thi
Abr aata tha to bad-mast bhi ho jatay thay
Din men shorish bhi hua karti thi hangamay bhi
Raat ki gaud men munh dhaanp ke so jatay thay
Narm rau waqt ke dhaaray pe safinay thay ravaan
Sahil-o-bahar ke aen na badalte thay kabhi
Nakhuda-oon pe bharosa tha muqadar pe yaqeen
Chadar-e-aab se toofan na ubalte thay kabhi
Hum ke toofanon ke paalay bhi, sataye bhi hain
Barq-o-baaran main wohi shamain jalayen kaise
Ye jo aatish-kada duniya men bharaak utha hai
Aansuon se usay her baar bujhayen kaise
kar diya barq-o-bukharut ne mehshar barpa
apne daftar main litafat ke siwa kuch bhi nahin
ghir gaye waqt ki berham kasha-kash main magar
paas tehzeeb ki daulat ke siwa kuch bhi nahin
Yeh andhera ye talatum ye hawaon ka kharosh
Is men taaron ki subuk narm ziya kya karti?
Talkhi-e-zeest se karwa hua aashiq ka mizaj
Nigah-e-yaar ki masoom aada kya karti
Safar aasan tha to manzil bhi bari roshan thi
Aaj kis darja pur-asrar hain rahen apni
Kitni par-chaiyaan aati hain tajali ban kar
Kitne jalwon se ulajhti hain nigahen apni
(By Aale Ahmed Saroor)

-----------------------
Ab yeh sochon tu bhanwar zehen mein par jatay hain, Kaise chehray hain jo miltay hee bichar jatay hain

Ab yeh sochon tu bhanwar zehen mein par jatay hain
Kaise chehray hain jo miltay hee bichar jatay hain
Kyon tere dard ko dain tohmat e viraani e dil ?
Zalzalon mein tu bharay shehar ujar jatay hain
Mosam-e-zard mein ik dil ko bachaoon kaisay ?
Aise ruut main to ghanay pair bhi jhar jatay hain
Ab koi kya mairay qadmon ke nishaan dhonday ga
Tez aandhi main tu khaimay bhi ukhar jatay hain
Shughal-e-arbaab-e-hunar poochtay kaya ho? keh ye log
Patharon mein bhi kabhi aainay jar jatay hain
Soch ka aaina dhundla ho tu phir waqt ke saath
Chand chehron ke khad-o-khaal bigar jatay hain
Shidat-e-gham main bhi zinda hon to hairat kaisee ?
Kuch diye tund hawaon say bhi lar jatay hain
Woh bhi kya log hain “Mohsin” jo wafa ke khatir!
Khud tarasheeda asoolon pe bhi aar jatay hain!!
(By Mohsin Naqvi)

-----------------------
Revolutionary Poetry By Allama Iqbal

Mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan
auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka
hai sil-sila ehwal ka har lahja dagargun
ae salek-rah fikr na kar sudo-zayan ka
shayad k zamin hai wo kisi aur jahan ki
tu jisko samajhta hai falak apne jahan ka

Ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai
is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai
ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai
(By Allama Iqbal)
-----------------------
Utho meri dunya k garibon ko jaga do

Utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do
garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do
kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do
tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do
(By Allama Iqbal)
-----------------------
Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maan

Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maan,
Ab mery baghair eid kaisy manao gi maan,
Sab k bety jab aayen ge eid parh ke,
Tum darwazy mein khari takti reh jaogi maan,
Saway’yan jab bantny lago gi mohally mein,
Tumhari palk aanson se bheeg jaye gi maan,
Sham tak bhi jab na pohnch paonga ghar,
Tery dil ki dharkan jaisy ruk si jayegi maan,
Eid parh kr jab wapis aaonga duty pe,
Tasali ye dil ko de kr so jaonga maan,
Eid ka kiya hai agly saal phir ajyegi maan..

-----------------------

Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry
Inqalabi Urdu Poetry

No comments:

Post a Comment