Thursday 5 December 2013

Latest Urdu Poetry

Latest Urdu Poetry Biography

Source(google.com.pk)

Urdu Poetry (اردو شاعری‎) – Urdu Poetry a important part of the cultures of Pakistan and India as it has a rich tradition of poetry and has many different forms like Ghazal, Qasida, Marsiya, Masnavi, Tazkira and Nazms and has different moods or emotions like love, sad, funny, patriotic and other. Urdu Poetry were basically originated from Arabic and borrowing much from the Persian language. Meer, Meer Dard, Mirza Ghalib, Meer Anis, Dabeer, Iqbal, Zauq, Josh, Jigar, Faiz, Firaq, Wasi Shah, Perveen Shakir and Faraz are among the greatest and famous poets of Urdu Poetry. As Poetry is beautiful way to express your feeling therefore this section is dedicating to Urdu literature lovers across sub-continent especially in India and Pakistan.


Ek din ek jonk se kuch khatmalon ne yeh kaha
Dijiye khala hame bhi koi aisa mashwara
Ab Bajaye khoon koi aur hi shaey pi sakein
Admi se door rehkar ham Khushi se jee sakein
Kyunki iss me khoon ab kam kam hi paya jaye hai
Ab na choosa jaye hai isko na chaata jaye hai
Iski sheeryanon me yu toh khoon milta hi nahi
Mil bhi Jata hai toh iss me zayqa kuch bhi nahi
Kaun jaane kya bala khane laga hai admi
Kis milawat ki ghiza khane laga hai admi
Hum Jo peete hain usey khoon maannaa bekaar hai
Kyunki iska rang bhi pehchanna dushwaar hai
Isme surqi se zyada hai safedi aajkal
Khoon ki surat hogayi hai doodh ki si aajkal
Ek zamana tha ke hamne khoon ke darya bhi piye
Aaj Ghanton choostey hain ek khatre ke liye
Kya kahein khala hamari pyaas bhujti hi nahi
Isse pehle yeh girani khoon ki thi hi nahi
Ab haseeno ki rago mein bhi ab lahu bakhi nahi
Inki mehfilon mein bhi koi khoon bhara sakhi nahi
Pehle Inka khoon hua karta tha manind sharab
Yu mahekta tha rago me jaise gulshan me gulab
Choostey hi inko apna bhi nikharta tha shabab
Ek nayi karvat badalta tha badan me aztarab
Booye khono se mast ho kar jhoomne lagte they hum
Apni apni khatmaliyo ko choomne lagte they hum
Hogaye hain aajkal woh naujawaan bhi badmazaa
Jinki sheeryano mein behti thi kabhi joo-ye tila
Jinka khoon peete hi aksar mauj me aate the hum
Moo lagte hi jinhe sar-shar hojate they hum
Ab unhi ko choos kar bimar padjate hai hum
Sukh jatey hain,sukad jatey hain,sad jatey hain hum
Ab kahan tak hum karein apne ghamo ka tazkera
Kuch Dino pehle hamare saath aisa bhi hua
Phoot Nikli thi hamare jism se gaanje ki boo
Peeliyaa tha bhool kar humne Jo hippi ka lahoo
Kya kahein kya kya balaa,kya khahar unke khoon me hai
Tiktweenty se zyada zehar unke khoon me hai
Apni sari chashni khone laga hai admi
Haye! Kitna be-maza hone laga hai admi
Sun chuki hai khatmalon ki dastani tishnagi
Ek adaaye khoon chakaan se jonk yeh kehne lagi
Aaj tak tune piya hai sirf janta ka lahu
Ab Zara pi kar toh dekho ek neta ka lahu
Ab toh mera bhi guzara hai inhi ke khoon par
Kya bataoon mai ke isme zaiqa hai kis qadar
Unka khoon pikar bahot maqmoor hojati hoon Mai
Aam jonko ke ghamo se door ho jati hoon Mai
Mu lagte hi unhe chalaak hojati hoon Mai
Be-zarurat hi sahi be-bak hojati hoon mai
Unki har shiryaan hoti hai khazana khoon ka
Ek ek neta hai goya karkhana khoon ka
Kis qadar Khush zaiqa hota hai un sab ka lahu
Bhooki janta ka lahu bhi kuch lahu hai,aakh! Thoo!
Ek bhi khatrra kisi Neta ka Jo paa jayega
Usko janta ke lahu ka bhi maza aajayega!!

------------------------------------

Eak Raat Mujhay Bas
Dey Do Tum
Decmber Ki En Yakh
Bsta RatoN Mein

Thanday Badan Mein
Bhr Do Hrarat
Hont Dy Kar Mery
Honton Mein

Zamany Bhr Sy Nata
Torr Loun Main
Hath Dy Do Agr Mery
HathoN Mein.

Tum Har Mehfal Mein
Youn Lagti Ho.
Jaisy Phool Ho Koi
Kanton Mein

Tera Ax Nigahon Mein
Gh0omta Hai
Takta Hun Jb Chand Ko
Chandni Raton Mein

Bohat Yad Aty Hyn
Beegy Hont Tery
Pho0l Daikhta Hun Jab
Brsaton Mein

Kash Eak Raat Mujhy
Dy Do Tum
Decmber Ki En Yakh
Bsta Raton Mein

------------------------------------


Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry
Latest Urdu Poetry

1 comment:

  1. Best eCOGRA Sportsbook Review & Welcome Bonus 2021 - CA
    Looking for หาเงินออนไลน์ an eCOGRA https://febcasino.com/review/merit-casino/ Sportsbook Bonus? At 메이피로출장마사지 this eCOGRA Sportsbook review, we're talking about https://deccasino.com/review/merit-casino/ a variety of ventureberg.com/ ECCOGRA sportsbook promotions.

    ReplyDelete