Urdu Romantic Poetry Biography
Source(google.com.pk)1. Maalal
Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay
Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay
Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay
Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay
" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay
2. Ho Gayi Rukhsat
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad.
3, Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote.
4,tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai
wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai.
No comments:
Post a Comment