Sad Urdu Poetry Biography
Source(google.com.pk)
Aik aansu meri palkon pe numanyan
Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi
Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi
Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi
Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi
Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi
Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi
Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein
Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi
Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi
Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi
Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi
Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga
Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi
Door Reh kar kareeb kitnay thay
Door Reh kar kareeb kitnay thay,
Faslay bhi Ajeeb kitnay thay,
Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna,
Is jahan mein Tabeb kitnay thay,
Umer bhar Sath jo raha Tere,
Us k Achay Naseb kitnay thay,
Kyun na Aai me Tere sapno mein,
Mere Shikway Ajeeb kitnay thay..!!
Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey
Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey
Ye fasane, ye maqaley to nahi kar saktey
Roshni chahiye lekin isi ik skauk mai ham
Ghar ko sholo?n k hawaley to nahi kar saktey
Noor ki rah mai deewar utthane waley
Qaid suraj k ujaley to nahi kar saktey
Raig e sehra hi sunaye gi safar ki roodad
Guftugu pao?n k chhaley to nahi kar saktey
Kaise aashiq hain k khush hain teri ruswai par
Yoo?n kabhi chahney waley to nahi kar saktey
Bad ghuma?n ham se hain kutch laug to majboor hain ham
Saaf har zehn k jaley to nahi kar saktey?!!!
Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten
Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten mery saath hon
kabhi aesa ishq nahin kiya k nadaamten mery saath hon
koi aesa harf nahin likha k ho sharm saar qalm mera
koi aesa jurm nahi kiya k wazahten mery saathon
faqt aik shakhs ki aarzoo m guzar rahi hai yeh zindagi
yeh talab nahin k tamaam sheher ki chahten mery saath hon
jo main jaagta hoon to is liye k kisi ko neend ot aasaky
meri subh us p nisaar ho meri zulmaten mery saath hon
main kisi adalat-e-ishq main?ae mery khuda?rahoon sur kuroo
kaf-e-dast par mera dil rahy?meri tohmaten mery saath hkon
yeh nahin k rah m jo mily usy hamsafar hi banaoon
jo tamaam umr nabha saken woh rafaqten mery saath hon
mujh rasmi sa mel jol?pasand hi nahin jan-e-man!
main yeh chahta hoon k jo tu mily?meri wehshaten mery saath hon.
No comments:
Post a Comment