Wednesday 27 November 2013

Urdu Poetry In Hindi

Urdu Poetry In Hindi Biography

Source(google.com.pk)

Duniya Ki Bato Me Hume Na Bhula Dena
Yad Aaye To Jra Sa Muskura Dena
Jindgi Rhi To Milnge Jrur Warna
Diwali Pe Ek Diya Mere Nam Ka B Jala Dena.

==============

Has Kar Jeena Dastoor Hai Zindagi Ka
Ek Yehi Kissa Mashhoor Hai Zindagi Ka
Beete Huye Pal Kabhi Laut K Nahi Aate
Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka.

==============

Dur Isharo Se Kabhi Bat Nahi Hoti
Chand Aansu Bahane Se Barsat Nahi Hoti
Yeh Jindagi Koi Khawab Nahi Haqqit He
Aankhen Band Karlene Se Rat Nahi Hoti.

==============

Ek Pal Ki Khushi Aur Sau Palo Ka Gum,
Milegi Na Zindagi Durbara…
R Chale Jayenge Sb Hum,
Khusiyo K Daur Me Naa Samil Kar Mujhe..
Par Dukho Me Chalna Chahenge
Apke Sung Kadam Se Kadam

==============

ab ke junuuN meN chaak girebaaN na ho sakaa
kuchh ehtemaam-e-jashn-e-bahaaraaN na ho sakaa

raah-e-daraaz-e-umr, asiirii meN kaT gayii
lekin dimaaGh aadii-e-zindaaN na ho sakaa

haq-beenii-e-nigaah ke qurbaaN jaaiye
khaashaak par gumaan-e-gulistaaN na ho sakaa

shukr-e-jafaa-e-yaar se fursat nahiN milii
dil waqf-e-shikwah-sanji-e-dauraaN na ho sakaa

halkii sii ek naqaab-e-tabassum paDii rahii
ruKh se mere ayaaN Gham-e-pinhaaN na ho sakaa

==============

dil hii to hai, na sang-o-Khisht, dard se bhar na aaye kyuuN?
roye.nge ham hazaar baar, koii hameN sataaye kyuuN?

dair nahiiN, haram nahiiN, aastaaN nahiiN
baiThe haiN rahguzar pe ham, Ghair hameN uThaaye kyuuN?

Qaid-e-hayaat-o-band-e-Gham asl meN donoN ek haiN
maut se pahale aadmii Gham se najaat paaye kyuuN

jab voh jamaal-e-dil-faroz, surat-e-meher-neemroz
aap hii ho nazara-soz, parde meN muNh chhupaaye kyuuN?

dashna Ghamza jaaNsitaaN, naavak-e-naaz be-panaah
teraa hii aks-e-rukh sahii saamne tere aaye kyuuN?

Ghaalib-e-Khastaa ke baGhair kaun se kaam band haiN
roiye zaar zaar kyuuN? kiijiye haay, haay kyuuN?

Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi
Urdu Poetry In Hindi

No comments:

Post a Comment