Urdu Poetry Shayari Biography
Source(google.com.pk)Samandar Ke Lehroo.N Ki Tarah Badalti Jati Hai
Kabhi Khushi To Kabhi Gham Mei.N Sambhalti Jati Hai
Zindagi Hai Ek Kashthi Aur Hum Uske Musafir
Jo Mom Ki Tarah Pighalti Jati Hai
Zindagi Ek Kahaani Hai Jis Ke Hum Kirdaar
Jo Har Lamhe Ko Likhthi Jati Hai.
================
Ae Zindgi,Teri Talash Me Aj Bhi Koi Bhatakta Hai
Ik Piyase Ki Tarh Tere Sehra Me
Tu Har Dum Shahi Nawab Kyn Hai
Main Laachaar Apni Bebasi K Hathon
Teri Dastaras Se Milon ,Main Dour Bht
Mere Paon Hain Zakhmi, Main Majbour Bht
Ae Khuda Reham Kr Meri Bebasi Pr
Ab Mila De Mujhe Meri Zindgi Se
Jo Hai Mujhse Routh Chali
Jo Ab Tak Mujhe Na Mili Kabhi
================
Main Kuch Nahi ,Per Kuch To Zuroor Tha
Mein Houn B Yaa Nahi Houn
Shayid Tha,Per Shayid Nahi Tha
Mein Tha B Ya Nahi Tha
Is Raaze Wafa Ney Hyraan Kr Hi Diya
Me Muhib Tha ,Aur Dusmane Ishq B Tha
Mein Kyoun Alag Hojaoun Teri Mehfil Sey
Kya Yehan Mera Aashiyaan Nahi Tha
Mea Khana Tha Aur Mea Buhut Tha
Kya Khak Tha, Yehan Saaki Nahi Tha
Kuch To Tha Unki Nazer Ka Matlab
Mein Zaroor Tha Per Mein Nahi Tha
Kuch Apni B Sunaty Werani Per Shayid
Iskay Baray Mein Kuch Pata Nahi Tha
Kya Tha Jab Kuch Na Tha Mera
Kya Yeh Sab Kuch Bewaja Nahi Tha
Tujhe Hakikat Maloom Hain Na Duniya Ki
Tu Zinda Tha Per Kal Shab Mara Nahi Tha
Terey Dil Ki Duniya Kahan Laegayi Pal Bar
Khada Tha Jahaan Nahi ,Jahan Tha Khuda Nahi Tha
Kitni Tasali Dey Raha Hain Khud Ko
Mout Sey Zahid Tera Dil Bara Nahi Tha
No comments:
Post a Comment