Saturday, 30 November 2013

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah Biography

Source(google.com.pk)

Wasi Shah is young romantic poet from Punjab Pakistan. He is well known famous and most favorite of teens college girls all age of guys and all teacher professor well educated persons. He is very great and well mannered person. Wasi Shah Poetry is truely loved by Urdu readers all over the world. Wasi Shah has written so many poetry books some of them include Mere Ho Ke Raho and Malangni. Here is some collection of Wasi Shah Poetry.

Wasi Shah Poetry

Dayar-e-gair mein kaise Tujhe sada dete
Tu mil bhi jata to Tujhe ganwa dete

Tumhin ne hum ko sunaya na Apna dukh warna
Dua wo karte k hum Asman hila dete

Hamein ye zom raha ab k wo Pukarenge
Unhen ye zid thi k Har bar hum sada dete

Wo tera gham tha k tasir mere lahje ki
K jis ko Hal sunate use rula dete

Tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kya Bhula dete

Tumhari yad ne koi Jawab hi na diya
Mere khayal k Ansu rahe sada dete

Samton ko main ta-umr kosta Syed
Wo kuch na kahte magar Honth to hila dete

****************************

Hum ne Kushyoon ki tarah Dukh bhi Akathey dekhe
Safha zeest ko palto ge to Yaad aaonga

Usi andaz mein hote the Mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likho ge to Yaad aaonga

Sard raatoon ke mahakte huye Sannatoon se
Jab kisi phool ko Chumo ge to Yaad aaonga

Ab to ye Ashk main aakhun se Chura leta hoon
Haath se khud inhein Poncho ge to Yaad aaonga

Shal pahnaye ga ab kon December mein tumhein
Tum siya rang Pahno ge to Yaad aaonga

****************************

Kash mein tere Haseen hath ka Kangan hota
Tu bare Pyar se chao se bare maan ke sath

Apni Nazuk si Kalayi mein Charati Mujhko
Aur be tabi se Furqat ke khezan Lamhon mein

Tu kisi Soch mein doobi jo Ghumati mujh ko
Mein tere hath ki Khushboo se Mehak sa jata

Jab kabhi Mood mein aakar Mujhe Chuma karti
Tere Honton ki Hiddat se Dehak sa jata

Raat ko jab bhi tu Needndon ke safar par jati
Mar marin hath ka ik Takyah Banaya karti

****************************

Meri Aankhon ke Samandar mein Jalan kaisi hai
Aaj phir dil ko Tarapne ki Lagan kaisi hai

Ab kisi chat peh Chiraghon ki Qatarein bhi nahi
Amb tere Shehar ki Galyon mein Ghutan kaisi hai

Baraf ke Roop mein Dhal jayein gay sare Rishte
Mujh se Poocho keh Muhabbat ki agan kaisi hai

Mein tere Wasal ki Khuahish ko na Marne don ga
Mosam hijar ke lehje mein Thakan kaisi hai

Regzaron mein jo Banti rahi Kanton ki rawa
Us ki majboor si Aankhon mein Kiran kaisi hai

Mujhe Maasoom si Larki peh Taras Aata hai
Use dekhon to Muhabbat mein Magan kaisi hai.


Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

Urdu Poetry Wasi Shah

No comments:

Post a Comment