Tuesday, 10 December 2013

Habib Jalib Urdu Poetry

Habib Jalib Urdu Poetry Biography

Source (google.com.pk)

Urdu main mazahmati shayri ke naqeeb Habib Jalib 24 March1928 ko Miyani Afghana zila Hoshiarpur mein paida huye. Asal naam Habib Ahmed, walid ka naam Sufi Inayat Ullah Khan jo Allama Iqbal ki shaiyri ke dildada the. Bachpan Hoshiarpur mein guzra. Dosri jang-e-azeem ke zamane mein in ke walid Dehli chale gae. Habib Ahmed ko 14 saal ki umar mein Anglo Arabic School Dehli mein 7 class mein dakhil karwaya gaya. In ki tawajja parhai se ziyada shaiyri ki taraf thi. Qeyam-e-Pakistan ke bad aap Karachi aa gae aur Jackob Lines School main dakhil ho gae. Lekin nisaab se charhti aur shaiyri se ishq. 15 saal ki umar se Mashq-e-Sukhan shuru ki. Ibtedah mein Jigar Murad Abadi se mutasir the aur rewayati ghazlen kehte the. Ibtedah mein Raghib Murad Abadi ke samne zaanoey tilmiz tey kiya. Zamanae talib-e-ilmi mein he Haider Bakhsh Jatoi ki hari tehreek se wabista hue aur pehli baar 1954 mein giriftar hue.

Sadar Ayub Khan ki ki fauji aamriyat ke khilaf awami jalson aur mushaiyron mein khul kar inqelabi nazmein parhe. Jab 1962 mein Ayub Khan ne naya dastoor diya to Murree ke aik barhe mushaiyre mein Habib Jalib ne apni mashoor baghiyana nazam “ Dastoor ” apni makhsoos tarz mein tarannum se parhi aur logon ne in ke har misrey ka sath diya, “ Main nahi janta, Main nahi manta, Aese dastoor ko... ” is ke sath he qaid-o-band ka silsila shuru ho gaya.Sadar Ayub Khan ke 10 sala auhad mein Shayari ne kam-o-besh sarhe chaar saal jail ki saubatein bardasht ki. Jab general Yahya Khan ka Martial Law laga to is ke khilaf bhi Jalib ne nara-e-mastana buland kiya. Mashraqi Pakistan mein fauji karwai ke khilaf inho ne aik nazam mushayare mein parhi, jis ke ibtedai misrey ye the.


 
“Mohabbat goliyon se bou rahe ho
Watan ke chehra khoo'n se dho rahe ho
Gumaa'n tum ko ke rasta kat raha hai
Yaqee'n mujh ko manzil kho rahe ho... ”

Chunache is jurm ki padash mein mahenon jail mein rahe. Zulfiqar ali Bhutto socialism ke manshoor par bar sar-e-iqtedaar aae the aur socialist Jalib ne isi bunyad par intekhabi mohim ke dauran un ki taraf dari ki thi, lekin jab Bhutto sahab ne National Awami party ki hukoomat ko bartaraf kiya aur siyasi rehnumaon ke khilaf Hyderabad sazish case qaiym hua to Jalib ne us ke khilaf bhi shaiyr kahe aur giriftar hue aur 10 maah jail main rahe. General Zia-ul-Haq ke bare mein in ki mashoor nazam ka aik shair kisi tarha bahar aa gaya.

“ Sharar ko saba saba bande ko khuda
Zulmat ko zia kiya likhna...”

Is par inhe mulk ki bad tareen jailon main se aik, Mianwali jail mein bhi kuch arsa rehna parha, lekin inho ne apne awam dosti ke usool se kabhi rogardani nahi ki, jis ke aeteraf mein inhe 25 December 1981 ko Karachi Press club ne apna life member banaya aur in ke aezaaz main shandaar jalsa munaqid kiya.

Aap ne 12 March 1993 ko wafat paai. Aap ki shaiyri ke majmoun main Barg-e-awara, Sar-e-Maqtal, Aehde Sitam, Zikar Behte Khoon Ka, Goshey Main Qafs Ke, Aehde Saza, Hurf-e-Haq aur Is Shehar Kharabi main shamil hai. Aap ki kulyat sar-e-dar ke naam se shaey hui. Is ke ilawa inho ne Filmi shaiyri mein bhi khoob taba aazmai ki, maslan Raqs Zanjeer pehn kar bhi kiya jata hai ( Zarqa ) aur zulm rahe aur aman bhi ho, kya mumkin hai aesa bhi ho ( Ye Aman ).
Habib Jalib ki siyasi shaiyri aaj bhi aam aadmi ko zulm ke khilaf bebaak awaz uthane ka sabaq deti hai. November 1997 main jab us waqt ke hukmaran General Parvez Musharraf ne Amergency lagai to Musharraf ke siyasi mukhalfeen ke jalson main Habib Jalib ki shaiyri dilon ko garmane ke liye parhi jati thi.


 
“Haq baat per korain aur zindan
Batil ke shikanje mein hai ye jaa'n
Insaa'n hai ke sehme bethe hain
Khoo'n khawar darinde hai raqsa'n
Har shaam yahan sham e veera'n
Aseb zada raste galiyan
Jis shehar ki dhun mein nikle the
Wo sheehr e dil barbaad kahan
Sehra ko chaman
Ban ko gulshan
Badal ko rida kiya likhna
Ae mere watan ke funkaron
Zullmat pe na apna fun waro
Ye mehal sara saraon ke basi
Qatil hai sab hi apne yaaron
Virsey main humain ye ghum hi mila 
Is gham ko naya kya likhna
Zulmat ko zia, sar sar ko saba
Bande ko khuda kya likhna...”



Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry
Habib Jalib Urdu Poetry

Urdu Short Poetry

Urdu Short Poetry Biography

Source (google.com.pk)

Tumhen Ikhtiyaar Kya Dy Diya

 
Tumhen Ikhtiyaar Kya Dy Diya,, 
Tum Ly Dooby Hamen...

===============
 
Mujhe Paana Itna Mushkil To Nahi

 
Mujhe Paana Itna Mushkil To Nahi,, 
Teen (3) Lafzon K Liye 
Kuch Himmat To KiJiye...

===============
 
Tum Kai Baar Mil Gaye Hoty

 
Tum Kai Baar Mil Gaye Hoty,, 
Tum Jo Milty Agar Duaaon Sy...

===============
 
Kitni DilKash Hai Khamoshi Teri

 
Kitni DilKash Hai Khamoshi Teri,, 
Saari Baaten Fazool Hon Jaisy...

===============
 
Goongty Rehty Hain Alfaaz Mery Kaanon Mein

 
Goongty Rehty Hain Alfaaz Mery Kaanon Mein,, 
Tu To Aaraam Sy Keh Deta Hai.. Allah Hafiz.. ...

===============
 
Achy Lagy Jo Tum So Hum Ne Bta Diya

 
Achy Lagy Jo Tum So Hum Ne Bta Diya,, 
Nuqsaan Ye Hua K Tum Maghroor Ho Gaye...

===============
 
Hamdardiyan Janaab Mujhe Kaat'ti Hain Ab

 
Hamdardiyan Janaab Mujhe Kaat'ti Hain Ab,, 
Youn Kha-Mkha Mizaaj Na Pocha Kary Ko...

===============
 
Usy Fursat Nhi Milti Zra Sa Yad Karny Ki

 
Usy Fursat Nhi Milti Zra Sa Yad Karny Ki,, 
Usy Keh Do Hum Us Ki Yaad Mein Fursat Sy Baithy Hain...

===============
 
Aye Khuda Is Duniya Mein Aik Aor Bhi Kamal Kar

 
Aye Khuda Is Duniya Mein Aik Aor Bhi Kamaal Kar,, 
Ya Ishq Ko Aasaan Kar, Ya KhudKashi Halaal Kar...

===============
 
Us K Be Hijaab Hony Tak

 
Us K Be Hijaab Hony Tak,,
Hum Bhi Shamil Thy Hosh Walon Mein...

===============


Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry
Urdu Short Poetry

Urdu Designed Poetry

Urdu Designed Poetry Biography

Source (google.com.pk)

Hum ne Kushyoon ki tarah Dukh bhi Akathey dekhe
Safha zeest ko palto ge to Yaad aaonga 

Usi andaz mein hote the Mukhatib mujh se 
Khat kisi aur ko likho ge to Yaad aaonga 

Sard raatoon ke mahakte huye Sannatoon se
Jab kisi phool ko Chumo ge to Yaad aaonga 

Ab to ye Ashk main aakhun se Chura leta hoon
Haath se khud inhein Poncho ge to Yaad aaonga 

Shal pahnaye ga ab kon December mein tumhein
Tum siya rang Pahno ge to Yaad aaonga 

===============

Kash mein tere Haseen hath ka Kangan hota
Tu bare Pyar se chao se bare maan ke sath

Apni Nazuk si Kalayi mein Charati Mujhko
Aur be tabi se Furqat ke khezan Lamhon mein 

Tu kisi Soch mein doobi jo Ghumati mujh ko 
Mein tere hath ki Khushboo se Mehak sa jata

Jab kabhi Mood mein aakar Mujhe Chuma karti
Tere Honton ki Hiddat se Dehak sa jata

Raat ko jab bhi tu Needndon ke safar par jati
Mar marin hath ka ik Takyah Banaya karti

===============

Meri Aankhon ke Samandar mein Jalan kaisi hai
Aaj phir dil ko Tarapne ki Lagan kaisi hai

Ab kisi chat peh Chiraghon ki Qatarein bhi nahi 
Amb tere Shehar ki Galyon mein Ghutan kaisi hai

Baraf ke Roop mein Dhal jayein gay sare Rishte
Mujh se Poocho keh Muhabbat ki agan kaisi hai

Mein tere Wasal ki Khuahish ko na Marne don ga
Mosam hijar ke lehje mein Thakan kaisi hai

Regzaron mein jo Banti rahi Kanton ki rawa 
Us ki majboor si Aankhon mein Kiran kaisi hai

Mujhe Maasoom si Larki peh Taras Aata hai
Use dekhon to Muhabbat mein Magan kaisi hai

===============

Samandar Ke Lehroo.N Ki Tarah Badalti Jati Hai
Kabhi Khushi To Kabhi Gham Mei.N Sambhalti Jati Hai

Zindagi Hai Ek Kashthi Aur Hum Uske Musafir
Jo Mom Ki Tarah Pighalti Jati Hai

Zindagi Ek Kahaani Hai Jis Ke Hum Kirdaar
Jo Har Lamhe Ko Likhthi Jati Hai.

===============

Ae Zindgi,Teri Talash Me Aj Bhi Koi Bhatakta Hai
Ik Piyase Ki Tarh Tere Sehra Me

Tu Har Dum Shahi Nawab Kyn Hai
Main Laachaar Apni Bebasi K Hathon

Teri Dastaras Se Milon ,Main Dour Bht
Mere Paon Hain Zakhmi, Main Majbour Bht

Ae Khuda Reham Kr Meri Bebasi Pr
Ab Mila De Mujhe Meri Zindgi Se

Jo Hai Mujhse Routh Chali
Jo Ab Tak Mujhe Na Mili Kabhi.

===============

Main Kuch Nahi ,Per Kuch To Zuroor Tha
Mein Houn B Yaa Nahi Houn

Shayid Tha,Per Shayid Nahi Tha 
Mein Tha B Ya Nahi Tha

Is Raaze Wafa Ney Hyraan Kr Hi Diya
Me Muhib Tha ,Aur Dusmane Ishq B Tha

Mein Kyoun Alag Hojaoun Teri Mehfil Sey
Kya Yehan Mera Aashiyaan Nahi Tha

Mea Khana Tha Aur Mea Buhut Tha
Kya Khak Tha, Yehan Saaki Nahi Tha

Kuch To Tha Unki Nazer Ka Matlab
Mein Zaroor Tha Per Mein Nahi Tha

Kuch Apni B Sunaty Werani Per Shayid
Iskay Baray Mein Kuch Pata Nahi Tha

Kya Tha Jab Kuch Na Tha Mera
Kya Yeh Sab Kuch Bewaja Nahi Tha

Tujhe Hakikat Maloom Hain Na Duniya Ki
Tu Zinda Tha Per Kal Shab Mara Nahi Tha

Terey Dil Ki Duniya Kahan Laegayi Pal Bar
Khada Tha Jahaan Nahi ,Jahan Tha Khuda Nahi Tha

Kitni Tasali Dey Raha Hain Khud Ko
Mout Sey Zahid Tera Dil Bara Nahi Tha.

===============

Kbhi Sitaroon Se Poocho Meri Tnhai Ka Alam Shahbaz
Her Shab Dekhte Hein Mjhe Teri Yad Mein Trapte Huye.


Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry
Urdu Designed Poetry

Urdu Poetry Mohsin Naqvi

Urdu Poetry Mohsin Naqvi Biography

Source (google.com.pk)

Biodata:

Name: Mohsin Naqvi

Personality: Poet

Born (Birthday): 5 May 1947

Birth Place: Dera Ghazi Khan, Punjab, Pakistan

Education: Graduated from Government College Bosan Road in Multan, get master degree from University of the Punjab, Lahore

Died: 15 Junuary 1996, Lahore

Biography:

Mohisn Naqvi 5 May 1947 ko Dera Ghazi Khan, Punjab, Pakistan mein peda howe. In ke walid ka naam Syed Chirag Hussain tha. In ke 6 bhai/behan hein. Government College Bosan Road Multan se inho ne graduation kiya aur es ke bad Masters ki degree Punjab University Lahore se li.

Mohsin MA Urdu ke final year mein they ke in ka pehla majmua “Band Qaba” shaya howa. Mohsin Naqvi Dera Ghazi Khan se taluq rakhte they. 

Mohsin Naqvi dekhte he dekhte Radio, TV, Akhbarat her jagha mash-hor ho gae. Adbi halqon mein in ka naam mash-hor ho gaya aur 13 April 1994 mein Mohsin Naqvi ke fun aur shkhsiyat per Ziya Sajid ki murat-tab karda kitab “kai batein zarori reh gaein” Bhi chap gai hai.

Mohsin Naqvi jaded shayer they magar rewayat se bhi baher nahi nikalte aur es ki aehamyat wo jante hein.
Unho ne apne hum aser aur aur senior shayaron ka acha mutala kiya tha. 1970 ke qareeb unho ne aehum Urdu kar liya tha.

Ek interview mein Mohsin Naqvi ne kaha tha ke main “Mir Ghalib, Anis se rawaeti shaour ka sahara lekar Allama Iqbal, Josh, Faiz Ahmed Faiz, Faraq aur Qasmi sahib tak estafada karta hon unhein musalsal parhta hon aur in se mutasir howe begher reh nahi sakta”.

Famous Poem By Mohsin Naqvi:

• Qatil Kabhi Maqtool Ka Matam
• Nahi Kertay
• Vo Log Bhala Samjhein Gay Kiya
• Raz-E-Shahadat
• Jo Eid To Kertay Hain Muharram
• Nahi Kertay
• Kyun Aap Ka Dill Jalta Hai Kyun Jalta
• Hai Seena
• Hum Aap K Seenay Pe To Matam
• Nahi Kertay
• Kehtay Hain Baray Fakhar Say Hum
• Ghum Nahi Kertay
• Matam Ki Sada Suntay Hain Matam
• Nahi Kertay
• Moshin Ye Maqbool Riwayat Hai
• Jahan Main

Mohsin Naqvi ke Aakhri Din (Death of Mohsin Naqvi):

Mohsin ke aakhri din in ke uroj ke din they Farooq Leghari sader ban gae they aur woh es ke elaqe aur party se taluq rakhte they.
Mohsin Naqvi terrorist ke khelaf they, in ko 15 January 1996 ko Lahore mein in ke ghar per maar diya gaya.

Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi
Urdu Poetry Mohsin Naqvi

Urdu Poetry On Mother

Urdu Poetry On Mother Biography

Source (google.com.pk)

Maa

Daastan  Mere  Laad  Pyaar  Ki  Bas
Aik   Hasti   K   Gird    Ghoomti    Hai
Pyaar  Jannat  Se Is  liye Hai  Mujhe
Ye Meri 'Maa' K  Qadam Choomti Hai...

------------------------
Mujhko ab bhi yaad hain wo saari ammi ki baatein 
Daantna mujhko baat baat par, pyaar ki wo barsaatein 

Khailna merey saath saath aur phir padney ko kahna 
Meri khushiyon ki khaatir abbu se ladtey rahna 

Meri gustaakhi pe unka zor se wo jhallaana 
Abbu ke aaney par unko kuchh bhi na batlana 

Thaam ke ungli meri mujhko bahar lekar jaana 
Seedha rasta kya hota hai ye mujhko samjhana 

Pyaar se mujhko paas bithaa kar sar pe tail lagaana 
Phir kahna ki beta dekho kaam sabhi ke aana 

Dekho beta geebat gussa achchi baat nahin hai 
Ye sab kaam galat hain betey aur ye kaam sahi hai 

In kaamon ko karke tum achchey insaan banogey 
Is rastey par mat chalna warna beimaan banogey 

Paisey ka izzat ke aagey koi mol nahi hai 
Bhool na jaana ye baatein jo mainey aaj kahi hai 

Mujhko ab bhi yaad hai wo saari ammi ki baatein

------------------------
Chotay thay,Maa uplay thapa karti thi,
Ham uplo par shaklien goondha kartay thay,
Aankh laga kar, Kaan bana kar naak saja kar,
Pagdi wala,topi wala,mera upla,tera upla,


Hasta Khelta Suraj roz sawairay aa kar,
Gober ke uplo per khaila karta tha,
Raat ko aangan me jab chulha jalta tha,
Ham saray chulha ghar kay agay baithay rahtay thay,
Kis uple ki bari aai??? kis ka upla raakh hua???
Wo pandit tha, ek dashrukh tha,ek munna tha,
Barso bad shamshan mien baithay soch raha hoon
Aaj ki rat waqt ke jaltay chulhay mien
"Ek dost ka upla aur gaya"

------------------------
Meri Zindagi ki subh-o-sham tum..
Mera din tum meri raat tum..........
ishq-e-ullad jatlany k liyee shabd nhi....
Misal-e-ishq yee hi yee jism mera **** is my jan tum....
Mera Dil tum meri jaan tum,,,
Mry liye jhan my kimati ... bus Maan tum...

------------------------
Buhat Yaad Aati Hai Maan

zindigani ke safar main gardishon ki dhoop mein 
jab koi saya nahin milta tab boht yaad aati hai MAAN 

pyar kehte hain kisse aur maamta kya cheez hai 
koi un bachon se pooche jinki mar jati hai MAAN 

safa-e-hasti pe likhti hia asool-e-zindagi 
isiliye to maqsad-e-islam kehlati hai MAAN 

jab koi pardes jata hai aye noor-e-nazar 
Quran leke sar pe aajati hai MAAN 

leke zamanat mein raza-e-pak ki 
peechey peechey sar jhukaye door tak jati hia MAAN 

kaampti awaz main kehti hai beta alvida 
samne jab tak rahe hathon ko lehraati hai MAAN 

jab parseshani mein phass jate hain hum pardes main 
aansuuyon ko pochne khawbon main chali aati hai MAAN 

marte dam tak aasaka na bacha ghar pardes se 
apni sari duyayain chokhat pe chor jati hia MAAN 


Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother
Urdu Poetry On Mother